Skip to main content

Why Someone Thinks Shias are Kafir ? - Urdu transliteration

Assalam o Alikum

Agar humaray upper kufr k fatway lagtay hain, hamain Kafir kaha jata hai, tou humay chahyay un asbaab ki taraf b mutawajah rahain.

is topic ki ahmiyat is tarah bayan ki ja sakti hai k Mazhab e Tashayyu Dushman daar mazhab hai, Maslan agar koi fard Dushman daar ho tou wo apnay dushman se mohtaat rehta hai, aik lahzay k liay b apnay Dushman se gafil nahi rehta, kiun k gaflat ka nateeja halakat hai..
Lihaza agar hum apnay Dushman se gafil rahain tou humain hargiz yay gumaan nahi karna chahyay k humara Dushman b hum se Gafil ho gaya hai..

Humaray Dushman ki pahlay din se koshish rahi k humay Sunni Shia may taqseem kar dain, Shia or Sunni har do taraf is tarah k grouh ijaad kiyay jo aik dosray per kufr k fatway lagain, inho nay aisa mahool bana deya k aj Shia ka dushman Sunni, or Sunni ka sab se bara dushman Shia ha,

humaray buzurg batatay hain (Mumkin ha is forum per bhi mojood hon ) k aj se 30, 35 saal pahlay azadari may sab shareek hotay thay, Shia or Sunni aik sath jaloos e aza may shareek hotay thay, in ki sabeel hotee the, nazr o niyaaz sath mil kar kartay thay, baaz okaat nishan dahi karna b mushkil hota tha k kon shia ha or kon sunni, Hatta k aj b baaz ziyarat or Majalis k permit or license b Ahle Sunnat bradraan k zimaydaro k naam se mojood hain (Ref: Speech of Syed Jawad)

Akhir yay dushmania kiun barhnay lagi ?

Shia't k ander Nuseri circles nay shamoliat ikhtiyaar ki, or is tarah ghul mil gae jaisay aqaid may koi faraq he na ho, ahista ahista in ki rasai minber tuk honay lagi, or inho nay apnay paleed afkaar bari maharat se humaray minber tuk pohchae, aj hum Mushahida kar saktay hain k Imam Ali a.s k fazail bayan kartay huay jo baaz dostaan nadani may hadain paar kar jatay hain, yay sab ittefaqan aisay nahi hua hai, yay in ki kai sala mehnat hai jo apnay samar dekha rahi hai,

Shia't k ander he aik or grouh ejaad hua jis ka kaam joloos may theek Ahlesunnat ki masajid k bahir ja kar Hazrat Umer, or Abu Bakar per or Bibi Ayesha per tabara karna or galian deyna tha ( Jo k islami taleemat k lihaaz se kabi b jaiz nahi )
Baqaida Tabbara road banaye gae, print media, websites, youtube, hatta k minber istimaal huay, baaz ilaqay may ahlesunnat ki aqsariat honay k bawajood yay amul majlis k doraan kiyay gae, or zulm bala zulm yay k fitnay ko ibadat samjh kar anjaam deya jata raha. (Fee sabeel illlahh Fasaad)
*************************************

is k bar'aks ahleSunnat musalmaano k ander aik grouh ijaad kia gaya jo aqaid k lihaaz se khawarij se kum nahi thay, Saudi paisa or Zia ul Huq k support se inho nay maderso or masajid ko istimaal kartay huay Shia k barhtay huay Asr o Rasookh ko kum karnay k liay kaam shoro kia.. or fatwoo ki factories laga dein..
Jaisa k pahlay tazkira hua k Nuserio nay Shia't k ander apnay qadam jamana shoro kiyay, or Mushrikana Nazryaat ka parchaar kia, is fitnay se in Khawarij numa Nasibio nay bharpoor faida uthaya.. Shia per Shirk or Kufr k fatway lagae, Amm faham sunni ko shia k khilaaf khara kar deya, zahir ha in k paas shia ko badnaam karnay k liay buhat acha bahana tha,

Inho nay Kaha shia mushrik hain wo Hazrat Ali r.a k sath aise sifaat shamil kartay hain jo Allah se Makhsoos hai
Wo Sahaba or Bibi Ayesha ko khulay Aam galian deytay hian
Wo Namaz e Juma or jama't k qail nahi
Wo zuljana ko sajday kartay hain
or is k ilawa ajeeb o gareeb qisam k propaganda huay

Lihaza Saudi paisa apna kaam dekha gaya, aj ap survey kar lain k sab se ziada propaganda pori duniya may kis k khilaaf hua hai? Yahee waja hai k aj Tashayyu k sab se ziada dushman hai.


Humaray Dushmano ki barhti hui tadaad humari haqqaniat ki daleel hai !!

is thread ko bananay ka maqsad yay ha k Shia ko samajh may ajae k is ka dushman kia sotch raha ha, is k dushman ki aksariat wo na Faham or nadaan loog hain jo haqeeqat se dour kar deyay gae hain, lihaza Zainabi Azadari ka takaza yay hai k Shia apna asli chehra paish karain, is propaganda ko khatam karnay k liay mo'assir zarya Azadari hai, agar ap naray ka jawab naray se dein gae yay kabhi m'ossir nahi ha.

ap Ahlesunnat khaas tour per Barelvi hazraat ki mahafil may shareek ho, in ki masajid may namaz parhain, in k ulama se milain, inhay apni haqeqat khud sabit karain, kum se kum apnay ilaqay se he yay kam shoro kar k dekhain, minber per aisay Khateeb ko bulain jo nafratain kum karay.. ap inhay apni mahafil may bulain, Majalis ka mahool aisa ho k gair aakar bethay,

Buhat se dost yaha aisay b ho gae k jin k area may ahlesunnat ki askariat hogi, ap Azadari mut rokain zaroor barpa karain, magar Azadari faqat rasm nahi hai, baseerat k sath aza karain.. ap apnay Nauho se unhain apni Haqqaniat ka paigam dey saktay hain.. humay alag se is kam k liay plat form ki zaroorat nahi hai..

Comments